Thursday, October 13, 2011

kho kar kuch lamhein....

kho kar kuch lamhein yaadon ke,
in aasaman mein kho diyein hain saarein.
pall ko chunkar jo rakhein thein zindagi main,
tukade hokar rahgein woh saarein.

mohabat mein kamzor paaya apne aap ko,
baas dil se thaam na saake zindagi ko.
kho diyein saarein armaan khud ke haaton se,
baas chod diya zingai paane ki aas ko.

khamosh raaton mein.....
kaagaz par likhatein jatein hain,
najane dil ki kaun si fariyad...
baas dil mein hi ragai,
dil ki har aas aur har ek murad.

ya phir...
neend na aane ka bahana dundakar,
baas likhatein hain in kamosh raaton ki aawaz...
tum se dur hokar jine ki kho gai har ek ustaaa,
baas kuch na karne ki tut gai aas...

dil ke tanhai ko dur karane ki hain koish aab,
mohabat ka sahara tha jo ji rahein thein hum.
aab us aas ko haton se tod diya ,
jo tha mere paas.

kehata hain dil mujhe zinda to raheigi tu,
meri barbadi ka tamasha dekhegi tu.
tujhe maut ka sahara bhi nasib nahin hoga,
ke tune kar di itni baadi khata…

saaasein to chal rahi hain aab,
magar zindaa nahin hu.
mere dil mein dard to hain ,
magar ruh se judi nahin hu.

is dard ki koi daava nahin hain,
ke jine ka khukam jo mila.
koi insaan ka khukam toddu,
todu mein khukm kaise khuda ka.

baas aab mujhe jeena to hoga,
dil mein kamoshiyon ko dabana hi hoga.
baas aab baas bhi kar ye dil,
tu kitni shikayat karata jayega.

dil ki fariyad tu kise sunayeinga,
dil ki aawaz sune wala koi nahin.
dil ka dard dil mein dab jayeinga,
baas ruh se judane ki aas nahin.

No comments: