Tuesday, March 26, 2013

meri dua mein tera naam hain,


meri dua mein tera naam hain,
meri aawaz mein tera saaz hain....
poore ho tere saare kwab,

 har waqt hoton pe yahi dua hain.....

 

zindagi hume kahin pe le jayein,
 par dil mein pehala naam tera hoga.........
 maut aane se pehale hoton pe ,

 khuda ka nahin,tera afasana hoga.........

 

tujhese mohaabat hain,woh gurur hain mujhe,
use gurur ko khuda ko bhi manana hoga...
usi ne jo bhaara hain yeh gurur dil mein,

 isi gurur se mera chera bhi khila hain........
----------------------------------------------------------

kehatein hain zamane mein pyaar se bad kar kuch nahin,
baas kuch nahin sivae dil ke ehsaas ke....
baas kuch nahin sivae us pyaar ke muskurahat ke....
baas kuch nahin sivae us pyaar ke dhadkano ke....
baas kuch nahin sivae us pyaar ke khushi ke....

kehatein hain saabhi main baas pagal hu....
ha! pagal hu uski muskurahaton ki
ha! pagal hu uske chehare ki
ha! pagal hu uske saason ki
ha! pagal hu uske dil ki

kehatein hain saabhi ke saacha pyaar nahin hota
baas kahungi itna ke mere pyaar ko dekh lena
pyaar to saabhi kartein hain is jahan mein
baas use sirf aata hain pyaar nibhana

dil ki dhankano mein rehata hain
meri saason mein,ruh mein rehata hain
Aakhon ke samane to dekhati hu use,
magar woh har pal ruh banke rehata hain

 
----------------------

mohaabat mein yakin ka sawal jab kabhi utata hain,
 mohabat mein rehana hi uspar yakin hona hain...

 jab kuch log ketein hain,tumhein mujhpe yakin nahin hain,
 muskuratein hue dil kehata hain,meri saasein meri nahin hain...

 mere liyein pyaar mera ,meri saason se bad kar hain,
 yeh gavara nahin hain ke koi aur uspar hak bhi jatayein...

 jab kabhi koi aur aata hain humare darmiyan,
 to dil jal jal ke chilane lagta hain...

 log samajhatein hain ke pyaar nahin,
bharosa nahin hain....

 baas dil mein bhare pyaar ko bhul kar ,
 chehare par jaatein hain...

------------

 dil mein baasa kar mujhe usne pyaar bahut diya
humesha mere pyaar ko dekhane ki aas ko lekar jita tha woh....

maine kabhi dil ke pyaar ko chehare par na laya
baas meri aakhon mein nafrat hamesha dikhata tha woh....

 aise pyaar ko dekhane se aacha hain ,
use woh pyaar hi na rahein,
 jis pyaar mein dard mile woh,
 pyaar tut jayein to koi parwah na ho....
 baas kuch dard ke ehsaas raheinge
par zindagi ki tanhai na ho....

 ---------------------

dard se bhare hain afsaane mere,
mohabat pakein khotein hain sapne mere!
 galti kisi ki bhi nahin hain,
 baas zindagi ne diyein hain dard dil ko mere!!

 kisi ki musqurahat pe jitein thein,
 baas aab do no taraf aasuon ka silab hain!
 kuch dil ke aasu dikhatein hain,
 to kisi ke dil mein rahjatein hain!!
aab sukh gayein hain aasu sab ke!
 baas ek dard dil mein hain,
 nasaru bana ke palegein hum inhein!!
 isiki yahin humari sazaa hain,
pyaar to mila bahut hamein ,
 baas kaise dena bhul gayein!
 zindagi ne itni nafrat di ke ,
 jine dikhana tha unse bhi chup gayein!!

--------------------

dhunla dhundala sa samaa....aakhon mein nami si aajati hain,!....is nazare ko dekh kar baas kisi ajnaabi ki yaad aati hain....pallavi

-------------------

dur kahin aasaman se sambal sambhal kar utarti hu main
 patharon ke bich se guzarti hu main
 manzil to meri dur hain magar
 hosala na kabhi harungi main

 -----------------------

jarne ko nadi se milne ke liyein,
 dur kahin aasaman se girata hu main...
baas tujhese milne ko tarasta hu main....!!
aasaman mein ye udatein badal tu dekh....
ke tujse pehale pahuncha hu main....
barsat ki tarah tu gir ke bhi uske paas pehale rahunga main!

--------------------------



PYAAR KARTEIN TO BAHUT LOGON KO DEKHA ,
PYAAR NIBHANA KOI USE SIKHEIN
DILON KO JODTEIN BAHUT DEKHE ,
RUH KO JODTEIN KOI USE DEKHEIN

 AAKHON MEIN AASU MERE NIKALTEIN HAIN ,
 DIL USKA ROOTA JAATA HAIN

 KEHATA HAIN KABHI HAAT NA CHODUNGA ,
MERE PAGAL DIL KO SAMBHALTA JATA HAIN

 KEHATI HU KYU SEHATEIN HO MUJHE ,
TO KEHATA HAIN INHI BAATOON SE DIL DUKHTA HAIN

 MERE GAALIYON SE USE PHARAK NAHIN PADATA ,
MERE UDASI SE PADATA HAIN

 PAGAL HAIN YA HAIN KOI PHARISTA ,
AAB HAIRAN SI HU MAIN

 BAAS JO BHI HAIN WOH SIRF MERA AUR MERA HAIN....

No comments: